Musalsal 18 din k antak mehnat aur senkron Qurbanyan dene k bad bil-akhir MISR ki awam ek azeem kamyabi se hum-kinar huwi!. unko 30 saal ki aus tareeki se nijat mili, jo Husni-Mubarak be-eman, zaliman aur american puphet ki shakal me un par chayi rhi. Ek ba-shaoor insan k lye yahan sochney ka maqam ye ha, keh kis tarah ek nalaiq, be-zamir, aur watnyat k jazbey se khali ek foji general ne misr jaise azaam sultanat pe 30 saal tk hukumat ki? Qaira and Iskandria ki fiza peechley 60 saalon me pehli dafa azadi ki khushbu se mehakney lagi, jab awami zor k neechey pehli dafa ek dictator ne gutney thayk dye.
Amarana tarz-e-hukumat ka aghaz pehli dafa misr me Jamal Abdul Nasir k doar-e-hukumat se huwa ta. Wo awam me nihayat hi maqbool ta, aur ausey ek bari awami himayat hasil ti. 1950 me hukumat ka bhag-door sanbhaltey huwey us ne bari chalaki k sat misri awam ko apna hami bana lya ta.us ne misri awam se kaha, k tum sb ek ARABI zaban bolney waley ho, tum ek doosrey se juda nhi ho. Is-tarah aus ne misri awam k jazbat bharkatey huwy in se ek aisa state bananey ki himayat hasil ki, jo keh door-e-jadeed k taqazoon ko pura krte huwe ek mukal secular state ho.
Jamal Abdul nasir bunyadi tor par armi ka sarbarah ta. Magr wo ek jadeed soch rakhne wala arab ta, jis ko Europ aur khas tor pe American atwar bhot pasand te, wo American filmain aur megazeen showq se dekhta ta. Aur un-hon ne angrezi aur European kitaboon ka ek bhot bara maj-mua stdy kya ta. Naser 1952 me armi ka sarbarah bana, aur 1956 me ek bari mendate k sath mulk ka sadar muntakhib huwa. Magr ahista ahista unka andaz-e-hukumrani ek dictator ki tarah banta gya. Jis par is k mukhalif is k khilaf mutahid ho gye. Magr abdul Naser ne unko sar uthaney ka koyi moqa nhi dya, unko jailon me dal dya. Mazhabi soch rakhne walon ko aus ne mulk ki taraki me sab se bari rukawat qarar dya.
1967 ki jang me jab secular-jadeed-arab k naarey ko ek jhatka laga, to usne Abdul nasir k takht ko hila dya. Isi k sat arab dunya ko bhi ek zabardast jhatka laga aur ye arab dunya k lye ek tabahi se kam na ta. Magr iske sat sat ek soch aisi bhi ti, jis ne is sanihey ki himayat ki. Q k unkey mutabiq secularism ki shikast ne islami soch rakhne walon k lye nye rastey khol dye.
Abdul nasir is k bawjood hukumat par qabiz rha, magar usne kayi dafa amercans pe ilzam lagay, keh uski shikast me America ka hat mulawis ta. Aur mazeed ye keh America auska takhta giraney k lye CIA k zrye sazashon me masroof ha. auska ye shaq bilkul sahih ta, q k abdul nasir wat-niyat k jazbe se sarshar wo arabi ta, jokeh haqiqat me misr ko dunya ka ek jaded aur taqat-war mulk dekhna chahta ta. Amercans ne agarcha auski hukumat laney me eham kirdar ada kya ta, magar wo Abdul nasir ki hub-o-watni aur auski misr se wafa-dari se khosh nhi te. Is lye america ne misr me islami soch rakhne walon ko dollars de kar Nasir k khilaf khara kr dya.
28 september 1970 ko misr ne ek muhib-watan hukamran aus waqt koh dya, jab Abdul nasir dil ka dowra parne se intiqal kr gye. Inki wafat pe lakhon log qaira aur istanbol ki galyun me cheekhain mar mar kr pagalon ki tarah nikal aye te. Agarcha abdul nasir ek dictator ta, mager wo ek jamhori soch rakhne wala dictator ta. Awam me wo intihayi maqbol ta. Unko ek sahib kirdar aur himat rakhne wala hukamran yad kya jata ha. Apni mowt k waqt aus ne bhot kam jaidad warse me chori, jokeh auske sache kirdar ki zamanat ti. Abdul nasir wo hukamran te, jo asli manon me arab ko jadeed rah pe chalty huwy dekhna chatey te, arab dunya k lye aus k pass ek azeem vision ta. Magr wo is vision k paye-takmeel tak phonchne se pehle is dunya ko chor gye.
Husni Mubarak aus waqt iqtadar me aye, jab Abdul nasir k janasheen Anwar Asadat ko 6 octobar 1981 ko katal kr dya gya. Asadat ne hukumat ka bhag door sanbhalte hi mazhabi jama-aton ko sat mila lya. Magr Asadat ko 1973 ki jang k baad bari pazeera-yi aus waqt mili, jab 1978 me aus ne isreali prime minister MINACHEM BEGiN k sat camp-devid ka mu-aida kya. Is mu-aida k teht arab-isreal k darmian derpa aman k aur mu-aidey mu-tawakoh te, magr isreal ki hat-darmi ne in sab kishishon pe pani pher dya.
Asadat k mowt k baad misri awam ki kismet ek buzdil , be-zamir aur sastey hukamran k haton me achuki ti. Wo zati tor par ek kamzor insaan aur bozdil hukamran ta. Aur shuroo se hi misr k armi establishment ka aala-kar bana. Establishment ne husni ko har tarah k ghair jamhoori aur ghair qanooni kam k lye is-timal kya. Husni ne kabhi khud se faisly krne ki himat nhi ki. Aur nahi ausko aisa krney dya gya. Abdul nasir ki tarah ek khud-mukhtyar aur azad hukamrani k wo kabhi malik nhi baney. Amerca ne apne maqasid k lye ausko is-timal kya, aur ye kishish ki, keh husni Mubarak ko misri awam ki nazar me ek jidat aur taraqi pasand hukamran paish kya ja sakey. Magr misr ki awam iski as-lyat jan chuki ti. Isi lye Husni Mubarak ne apne khilaf har tarah ki raaye pe pabandi lagayi ti. Media ko yar-ghamal banaya, aur auskey najaiz maqasid ki rah me jis ne bhi aney ki koshish ki, ausko kuchal dya gya. Mulk me bad-amni aur corruption ki int-tiha kar di. Is ke sat auske khandan k har fard ne mulk ko donon haton se loota. Camp devid k mu-aidey k teht amercyon se karoroon dollars le kar apne zati khatey me dal dye.
Aaj misryon ki qurbaniyan rang layi hain. Aur un-hoon ne apni matti ko tarikh k ek bad-naam lutehrey se nijat hasil krwayi ha. Is k janey k baad misr k arab aur khas tor pe isreal aur America k sat taa-luqat pe kya asar parey ga, ye to waqt bataye ga, Magr ye bat zahir ha, keh Husni Mubarak k baad jo bhi hukumat bani gi, wo isreal k sat apni khrja policy me bhot bari tabdili laye gi. Is tabdili ka matlab har-giz ye nhi ha, keh wo isreal k sat jang karain gey, magar ye hukumat itna zaroor karey gi, keh 1978 k camp-david k roshni me misri ilaqoon ki wapsi k lye isreal par dabao daley gi. Jis ka matlab ye hoga, keh isreal par mazeed dabao barey ga keh wo falesteeni ilaqoon par na-jaiz qabza khatm kr k ek azad falestini riyasat tasleem karain, jo keh 1967 se pehle k sarhadoon pe mushtamil ho.
Abdul nasir ke na-ahal ja-nasheenon ke tasalut ka misr pe khatma ho chukka ha. Hum ye duwa krtey hain, keh misri no-jawanoon ne jo qurbaniyan di hain. Is key badley me wahan pe unki umangoon k mutabiq ek aisi hukumat qaim ho, jo mukamal tor pe jamhoori aur misri qoam k lye khair-khwahi ka zriya ho- ameen .
By. A.S Mandokhail
0 comments:
Post a Comment